Shadi ke liye Asan Istikhara Karne ki dua Aur Tarika
Shadi Ke Liye Istikhara Ki Dua
Kya aap apne shadi ke faisle ko lekar kisi tarah ki kashmakash mein hai? Kya aap ye tay nahi kar pa rahe hai ki aapke liye jo rishta aya hai aap waha shadi kare ya nahi? Kya aap ye jaan na chahte hai ki Allah Subhana Wa’ Tala ne aapki shadi ke liye kyat ay kiya hai? Agar ha toh aap shadi ke liye asan istikhara dua mange aur Insha Allah, bahot jald aapke samne Allah Talah ka faisla hoga. Aapko apne khwab mein ye nazar ajayega ki aapke liye jo rishta aya hai wo aapke liye mufeed hai ya nahi.
Kayi baar banda ajeeb se kashmakash mein padh jata hai kyuki usko apne future ka dar hota hai. Zahir se baat hai koi jaan kar toh apne sath galat nahi karna chahega. Shadi ke liye istikharadua aapke liye ek behtar tarika hai apni shadi shuda zindagi ko asaan karne ka. Aap sirf poore ehtiyaat se shadi ke liye istikhara dua ko parhe aur Insha Allah, aapko khwab mein ye ishara mil jayega ki aapko is rishte ke liye aage badhna chahiye ya nahi.
shadi ke liye Asan istikhara dua karne ka quranic tarika
Beshak Allah dono jahan ka malik hai aur Wo janta hai ki humare liye kya behtar hai. Toh agar hum apne Rab se madad mangenge toh Wo bilkul humare madad karega. Allah Talah kehta hai, mango jo mangna hai. Jab aap asan istikhara karne ka tarika Aur shadi ke liye istikhara ki dua in Quran parhte hai toh aap apne shadi ki kamyabi ya nakamyabi ke bare mein jaan ne ke liyeAllah Talah se madad mangte hai aur beshak Allah Talah mangne walo ko zarur nawazta hai. Toh Insha Allah, bila shak aapko usi din apne liye aye huye rishte ki sachai maloom ho jayegi aur aap sahi faisla le payenge.
Asan istikhara karne ka tarika shadi k liye istikhara ki dua in Quran niche diya gaya hai:
- Istikharakarne ke liye aapka paak saaf hona behad zaroori hai.
- Aap raat ko sote waqt do rakat nafilparhe.
- Aur nafil kipehli rakat mein Surah Kafiroon parhe aur dusri rakat mein Surah Ikhlas parhe.
- Nafil parhne kebaad istikhara ki dua parhe.
- Phir jis shaks se aapki shadiki baat chal rahi hai uska aur uski walidah ka naam lekar us rishte ke bare mein soche.
- Agar aapke pass ek se zyada rishte aye hai tog sabka naam le aur sabke bare mein ek-ek karke soche.
- Phir Kiblah kitaraf muh karke so jaye.
- Insha Allah, aapne jis niyat se istikharakiya hai wo aapko khwab mein dikh jayega.
- Agar aapko koi khwab na aye toh aap istikharadusri martaba bhi kar sakte hai.
- Is tarah se aap 7 martaba istikharakar sakte hai.
- Agar aapko istikharaki dua jaan ni hai toh aap humare molvi sb. se rabta kare. Wo aapko iski sahi dua bata denge.
Asan istikhara karne ka tarika shadi k liye istikhara ki dua in Quran aapke liye sabse mufeed aur behtar tarika hai apni aage wali shadi shuda zindagi ke bare mein jaan ne ka. Aap isko aaj hi azmaye.
No comments:
Post a Comment